Kaise bataon tujhe.....!!!!!!!
Baat karta hoon tujhse to sukoon aata hai,
nahin karta hoon to dil mera dard se bhar jata hai,
Chahta hoon gamon ko chupana magar chupa nahin pata,
Kaise bataon tujhe, ki hans kar bhi main hans nahin pata,
Tu door mujhse kyun hai itna, yeh sochkar main khud ko rok nahin pata,
Tune kaha tha, khush rehna sada, tab se karta hoon
Khush rehne ki koshish sada, par baad tere jaane ke,
main aankhon se girte aasuon ko rok nahin pata,
Hai teri bhi majboori bahot,
par dil ko main yeh samjha nahin pata,
tu chahe na chahe mujhe,
main chahoonga tujkho zindagi bhar,
mujhe bas itna bata,
kya sach hai is pyar mein,
kisi ke bina koi reh nahin pata……….!!!!!!!!
|